Answer |
1)Mustahab namazain bohat si hain jinhein nafal namazain bhi kahtein hein. Ye namazain roz e jumma k alawa 34 rakaat hein jin me se 8 rakaat zohar ki, 8 rakaat asar ki, 4 rakaat magrib ki, 2 rakaat isha ki, 11 rakaat namaz shab ki aur 2 rakaat subah ki hoti hein. Lakin jumma k din zohar aur asar ki 16 rakaat nafal per 4 rakaat ka izafa hota he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 752)
2)Namaz e zohar ki nafal, zohar se pehlay parhi jati he. Is k awal waqt zohar se he aur is waqt tak baqi rehta he jab tak osi namaz e zohar se pehlay ada karna mumkin ho. Namaz e asar ki nafal asar ki namaz se pehlay parhi jati he aur is ka waqt tab tak baqi rehta he jab tak osi namaz e asar se pehlay ada karna mumkin ho. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 756,757)
3)Zohar aur asar ki namaz ka waqt zawaal e aftaab k baad se garoob e aftaab tak he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 718) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|