Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question assalam o alikum...meray husband nai mujhy ghussay mai kaha ke tum meri taraf se azad ho,,1 bar nahi kahi bar kaha,,,ab jab mai un se baat karna chahuu tu mujhy kehtay hain ke mera tum se rishta khatam hai,,,tum azad ho,,koi baat poochoo tu kehtay hain tum samjhti nahi hu mera tum se rishta khatm hai,,mai tumhay rakhna b nahi chahta,,ab mai kiya karoo.or es baray mai kiya hukam hai 
Answer Ye talaq nahi he. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). Wazifa : 1. Agar mian biwi apas me naraz hoon to surah e muzzamil ko 3 bar sharbat per parh kar pila dein to aik dosray ke dost aur meharban ho jain ge. (ref : Kitab payam e shifa pg # 287) 2. Hazrat Imam Jaffar e Sadiq (a.s.) se marvi he k surah e Mubarak e jumma ko sohar aur biwi k darmian it’ti’faq k lie 5 bar parhna chahaie. (Ref : Dunya Wa Akhirat ki 100 Pareshanion ka hal pg # 84) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.