Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam-o-alaikum, sir main jahan rehta hon wahan shahadat-e-salsa pary jati hy kia main in k sath namaz ba jamaat par sakta hon ya pher main jamaat k sath furada ke niayat c par sakta hon agar nhn par sakta tu mjy inform kar dain agar ho saky to tu koi referrence (book) waghaira be dy dain q k dosry humain kehty hain k kahan likha hy k ap nhn par sakty, thanks. 
Answer Agar mamoom(yani namaz e jamaat main shamil namazi) or imam e jama,at k dermiyaan namaz k ajza(parts) or shara,it main ijtehaad ya taqleed k wajah se ikhtelaaf ho jaay,or mamoom ko maloom ho k imam e jamat ki namaz batil hay(yani imam e jama,at k mujtahid k fatway main ye namaz batil ho), tu ye mamoom is imam e jama,at k peechay namaz mukammal nahi ker sakta.siwaay is sorat k , keh agar imam e jama,at ki namaz main koe aisi ghalati ho jo k jaahil e qasir{Jaahil e qasir aisay laa ilm shaks ko kehtay hain jis ki jahalat/laa,ilmi ka uzr qaab e qobool ho} k liay maaf ho tu phir mamoom k liay jaiz hay k wo is imam e jama,at k peechay apni namaz ko mukammal karay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus saliheen Part # 1 , Maslah #810, eidition # 1st ). Update on dated 13-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Lehaza aap namaz k shuru se jamaat perh sakte hain, jab imam e jamat shahadat e salisa shuru kare tu aap apni namaz ki niyat ko furada ker lain.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.