Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullaha Sistani (d.b.) 
Question pasand ki shadi main age larki khula galat fahmi ki wajha se krny ko tyar ho jye mgr wakeel sirf larky ko ik call per bolay k ejazat do ya nhi mgr khula ho jye gi to kya khula ho jati hai ? aur agr us k bad larki shauhar se bat khtm na kray aur iddat bhi na karay aur khud bhi chahti ho shuru se k us ki shadi khtm na hui ho to kya rishta jyes hai ? aur agr hai to nikah dubara krna ho ga ya khula nhi hui ?? 
Answer Ye talaq sahi nahi hay. Talaaq k sahih honay ki chand shra’it hain. 1) talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2) talaq zabani dijaay.yani likh ker talaq dayna baatil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3) zarori hay k talaq arbi zaban main di jaay. 4) talaaq do adil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5) Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah# 2462 to 2464 ). talaq khula aisi talaq ko kehtay hain kl Jab aurat apnay shohar ki taraf maa’il na ho(ya os ko pasand na kerti ho) or apna meher ya koe raqam apnay shohar ko is liay day takeh woo os ko talaq e khula day, aisai talaq ko talaq e khula kehtay hain talaq e khula main baat laazmi hay k zoja apnay shohar say itni nafrat kerti ho k hoqooq e zojiyat(maslan hambistari) ada nah kernay ki dhamki day. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2492). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.