Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question aslam-o-alikom mere peshaap keerne ke bad kuch katry kapron main gir jatay hain kiya main namaz parh sakta houn bohat kosish karta houn achi tara saff kar loun magaar aisa nahi kar sakta ka pake rah sakou hata ke nahane ke bad be aisa he hota hay  
Answer 1)Wo ratubat jo baaz awqat peshab k baad nikalti he usi wadi kaha jata he aur agar peshab os se mila hua na ho to wo pak he. Mazeed ye k jab kisi shakhs ne peshab k baad istebra kia ho aur os k baad koi ratubat kharij ho jis k baray me shak ho k peshab he ya koi aur ratooobat to wo pak he. 2) Istebra aik mustahab amal hay jo merd hazraat paishaab k baad is wajah say anjaam daitay hain taa’keh ye itminaan ho jaay k pishaab ki naali may peshaab baaki nahi raha. Is ka tareeqa ye hay k peshaab say farigh honay k baad ultay haath(left hand) ki darmiyaani ungli (middle finger) ha us ko pakhanay k maqam say peshab ki naali ki jerh tak soontain(wipe) aur is k baad angothay ko peshaab ki naali k oper or aur angutay k saath wali ungli ko peshaab ki naali k neechay rakhain or daba kar khatna k maqam tak le aaen phir 3 dafa jatkein. 3)agar wo ratubat k peshab honay ka yaqeen ho to phir najis libas me namaz sahi nahi he. (ref : tauzeeh ul masail ayat ullaha sistani d.b masla no 69-70 , 787) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.