Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Question 
Question Dear Sir Main KHULA ke bare me jaana chatahu kiya KHULA ke bad ladki our shahor us alag ho jate hai kia ouse koi our shadi kar sak tahai ? plz mujhe iss ke bare me bataye A am really thanks to for giving a time my ? 
Answer 1)Jee haan talaq e khula k baad aurat shadi kar sakhtay hay laikin aurat os waqt tak shadi nahi kar sakhti he jab tak aurat ki talaq ki iddat puri na ho jay. 2) Talaq ki iddat : Jis larki ki umar puray 9 saal ho chuki ho aur jo aurat ya’essa na ho, us ka sohar us se mujameat karey to agar wo osay talaq de to zarori he k wo aurat talaq k bad iddat rakhey. Aur aisi aurat ki iddat jis k 2 haiz ka darmiyani faasla 3 maah(month) se kam ho ye he jab is ka sohar osay paki ki halat me talaq de (yaani jab wo periods main nah ho) tu jab os aurat ko talaq k baad teesra haiz (menses) aay tu oski iddat mukammal huti hay. Aur dosra nikah kar sakhti he. Lakin agar sohar aurat se mujamiat karney se pahle usay talaq de to us k lie koe iddat nahi he yani wo talaq k foran bad shadi kar sakhti he. (Ayatullah Sistani(d.b),Tauzee hul masail, maslah # 2475 ) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.