Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam ulaikum Mera sawal ap se ye hai k mera nikah ho chuka hai mere shohar cal pe mujh se jab humeri ainda zindage ki baten karty jain milap ki to mujhy pani ata hai...jis waja se me bht pareshan hun meri fajar ki nimaz reh jati hai.. Kya is tarha pani any se ghusl lazmi ho jata hai??? 
Answer Wo ratubat jo aurat say shehwat k saath Khaarij hoti hay Agar is Hadd tak ho kay usay Inzaal Kaha ja sakay aur libaas ko aalooda kar day , jo aam tor par us waqt nikalti hay jab aurat jinsi shehwat ki Intihaa tak pohunch jaey to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga.ise tara ehteyaat e waajib ki bina per agar hijaan e shewat ki inteha tak nah bhi pouche magar paani itna ziyaada ho jitna puri razamandi k mouqe per kharij hota hai to ye Najis bhi hay aur is aurat ko Mujnib shumaar kiya jaey ga aur us par ghusl e janabat bhi wajib hoga. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 345) Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Note: Baghair ratubat kharij hoay faqat intehae sex k mehsoos kerne se ghusl e janabat wajib nahi hota.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.