Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamu alaikum wa rahmtullahi wa barkatu sir pehle to apka babot bahot shukriya, mere sawalo ka jawab deke confusion dur karne k liye. sir mai CA-CPT k liye taiyari kr rahi hu. meri Cpt ki exam 13 December 2015 ko h. ap muj koi wazifa or dua bata dijiye taki mai exam ache se clear kr saku pehli hi bar mai. sir mai 3 salo me hi CA ban jaun taki mai apne ghar walo ki zimmedari utha saku. pls ap mujhe koi wazifa or dua bata dijiye. taki hardworking k sath sath Allah pak ki rehmat v ho or mai pass ho jaun. 2) sir meri ek or problem hai ki mera padai me dil nahi lgta hai pehle ki tarah eske liye bhi koi dua bata do taki mai pehle ki tarah padai krne lagu. or bahot hardworking karu taki mere ammi abbu k Budape ka sahara ban sakun.  
Answer 1) Surah e ahzaab ko hath say likh kar aik dabbay(box) mai band kar k apnay ghar may hifazat say rakh dain aur is surah ko har rooz aik bar parh kar dua mangain to hisb e manshah rishta distiab ho ga. (Ref : Naway e salaheen, Mafhoom e pg # 352). Wazifa bayan karnay k sath aap ko is fiqhi maslay ki taraf bhi mutwajjah kiya jata hay k : jins e mukhalif se dosti kerna jaiz nahei koun ke ghuna me mubtila hone ka khof majood he. (Ref: kitab nigah aur libas ques # 106 , Mafhoom e pg # 69).Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Imtehan main kamiyabi k liay: 1)Imtehaan main aasan paper k liay center(imtehaani markaz) jaanay say pehlay is aayat ko 7 mertabah perh ker jaay or is ayat say pehlay or baad 3 mertabah salawaat perhay. ye sorah anfaal(sorah#8,parah #9) ki ayat #62hay: “Fa inna Hasbakal laah. Howal.lazi ayyadaka binasrihee wa bil moomineen. (Ref: Naeem ul aamaal Mafhoom e pg# 352-55) . Perhae main dil lagne k liay: 2) Surah e Taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba pharain. (Ref : Naway e salaheen pg # 326) Hafiza k liay: 3)Motabar riwayat k mutabiq surah e taha ki ayat no. 25 ta 28 ko har roz teen martaba parhain to ye har qism ki faramoshi ka qilaqama karti hai aur hafizay ko qawi sai qawi tar banati hai. (Ref : Naway e salaheen pg # 326). Update on dated 24-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.