Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question kiya khula k baad wapsi k liye halala zaruri hai pls es guneghar banday ki madad farmey 
Answer Talaq e khula talaq e baa,in main se hay.or talaq e baa,in wo talaq hoti hay k jis k baad merd apni aurat ki taraf ruju kernay ka huq nahi rakhta yani k baghair nikah k dobara osay apni bivi nahi bana sakta yani jab oski bivi ki iddat khatam ho jay tu os se jaeed nikah ker k apni bivi bana sakta hain.((Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Minhajus Saliheen,Part#3, Maslah# 514) Teen qisim ki talaq e main iddat nahi hoti yani baghair iddat ki wo dosra nikah ker sakti hain. 1-jis lerki ki umar poray 9 saal(chand k layhaaz se) nah hoe ho. 2-wo aurat jo yaa,esa ho chuki ho (yani jis aurat ki umar 50 saal hogae ho or umar rasida honay ki wajah se osay haiz nah aata ho or dobara aanay ki umeed bhi nah ho). 3-jis aurat ko hambistari se pehlay hi talaq day di gae ho. (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.