Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question salam...mufti sahab mny aik dukan khrei ha 3.50 lac ki jis ma se aik lakh advance de dia tha or baki payment october ma deni ha...mera bra bhai bahar hota ha usny kaha tha k wo octber ma 2.5 lac de de ga lkn wo nhe de skta filhal...to ab mery pas do rasty hain aik to ye k ma dukan sale kr k unko 2.5 lac de dun ya phr bank se loan ly k de dun...ab aap baten is halat ma mery lye bank se loan lena jaiz ha ya nhe ? 
Answer 1)Kaafir bank se sood (riba) ada karne ki shart par loan lena haram hai aur haram kaam se bachne k liay ye kar sakte hain k raqam ko kaafir bank se qarz ki niyat k baghair lain nah k loan ki niyat se agarchah jaante hoon k kaafir bank asal maal aur sood(riba) dono wosool karay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #8, page#437). 2) Kisi shaks se ya private ya government ya sami- government bank say is shart per qarza laina keh qarz li gae raqam say ziyada ada kia jaey ga, tu ye sood or haram hay.Laikin agar koe shaks private bank se sood ada kerne ki shart k sath qarz le le tu qarza sahi hoga or is raqam ko istemaal kerna halal hoga or shart batil hogi or shart pora kerne k liay sood daina or laina haram hoga.or agar government bank ya sami-government bank say koe qarza le tu sood se bachne k liay wo shaks ye kare k dil main mujtahid se qarz lene ki niyat kare or is qarze per sood ada kerne ki niyat nah kare agarcha os ko maloom ho k government ya sami-government bank baad is se apni asal raqam or sood wusool kare gi, tab bhi is terah qarza lena jaiz hay. (Ref: Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1,2,7). Update on dated 21-08-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.