Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question me apni girlfriend k sath court marriag krna chahta hon.but kia court mariage k bad agr ghr waly agree ho jaen to dobara molvi nikah prhae to glat to ni ho ga.ya hamra nikah theek rhy ga or rishta b 
Answer 1)Kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day dai. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah #) 2)Nikah main seeghah(nikah k bool) perhna zaroori hay. aurat or merd ka faqat razi hona kafi nahi, or isi terah (nikah naama) likhna ehtiyaat e wajib ki bina per kaafi nahi hay. Aqd e nikah ki khuch shara,it hain jin me se khuch ye hain k:- 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay, or agar khud mard or aurat sigah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay. 2) sigha parhne wala aqal-mand ho or agar apne lie perh raha ho to baligh hona bhi zurari hai . 3)Merd or aurat or uska vakil sigha parhte waqt qasd e insha(nikah ka irada ) rakhte hon. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 2341, 2328-35)Update on dated 01-10-2015.(Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.