Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question main quran-e-kareem ko tarjumain say parh chuka hoon lekin mujhy kahin bhee namaz kiss tarhan parhni chahye ALLAH nay tafseel hi nahee lekhi jab k namaz islam ka sub say ahem rukan hy bachpan say namaz k mutaliq itna parha aur bohat hi suna,qabar,akhrat,qayamat main pehla sawal namaz k mutaliq ho ga aur din main 5 dafa namaz parhna azan sunna musalman iss ko kaza kana gunah-e-kabira samajhtay hain.kia ALLAH nauouzebilla namaz ki tafseel apnay peyaray nabi ko batana bhool saktay hain.kia aap bata saktay hain namaz ki tafseel kiss paray main likhi hay. main aap ka ahsan mand rahoon ga. 
Answer Quran ko Allah ne aik mu’jizay k taur per nazil kia hay.Allah ne Quran ko aik deniyaat ki kitaab k taur per nazil nahi kia k is main tamaam islami ehlkamaat tafseel k saath maujood hoon, laikin ye bhi haqiqat hay k Allah ne quran ko aik mukammal kitaab qaraar diya hay, agar hum quran ki talimaat or is ki her her ayat per amal karain tu tamaam islami ehkaam per sahi terah amal ker saktay hain. Is liay ye nahi kaha jasakta k Allah ne namaz ya dosray ehkamaat ki tafseel nahi batae Q k quran main sorah e ahzaab(sorah#33) ki ayat #21 main Allah ka fermaan hay k “Tum main se os k liay Rasool(s.a.w.w) ki zindagi main behtareen namonah e amal hay jo shaks Allah or aakhirat se umidain wabasta kiay hoay hay or Allah ko bohot ziyada yaad kerta hay ” or surah e Hashr(sorah#59) ki ayat #7 main main Allah ka fermaan hay k “……… or jo khuch bhi Rasool(s.a.w.w) tumhain day day osay lay lo or jis se mana ker day os se ruk jao………….” Isi terah sorah nahl(sorah#16), Ayat#43 main Allah ka fermaan hay k “…….agar tum nahi jaantay ho tu jaannay waloon se deryaaft karo” (Ref: Tarjumay e quran, Allama zeeshan haider Jawaadi,pg#873,1125,577) Note#1: Yon tu ye hokum aam hay k her shaks ka ferz hay k jis baat ko nahi jaanta hay os k jaannay walo se deryaaft karay or jahalat per arha nah rahay laikin riwayaat main ehl e zikr se ehl e bait e tahireen(A.s) ko muraad liya gaya hay k wo dunya k tamaam haqa,iq k jaannay walay hain or her nah jaannay walay ki ilmi tashnagi ko rafa kernay walay hain.(Ref: Tarjumay e quran, Allama zeeshan haider Jawaadi ka hashiya ,pg#577) Note#2: Aap Namaz or dosray tamaam ehkamaat ki malomaat k baray main apnay mujtahid ki tauzeeh e ul masa,il ki taraf ruju karain or os per amal karain. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 1). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.