Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name -- None -- 
Question please let me know the timings for all the five prayers (Nimaz) at which these get Qaza.  
Answer A.Sistani kay nazdeek.. Namaz-e-Fajr:Subah ki azan kay qareeb mashriq ki taraf say aik safeedi ooper uthti hay jisay fajr-e-awwal kaha jata hay jab ye safeedi phail jaey to wo fajr-e-doom aur subah ki namaz ka awwal-e-waqt hay aur subah ki namaz ka aakhri waqt sooraj nikalnay tak hay,is kay baad namaz-e-fajr qaza ho jati hay..Namaz-e-Zohar-o-Asr:Zohar aur Asr ki namaz ka waqt zawal-e-aaftab (zohar-e-sharee yani aadha din guzar janay) kay baad say ghuroob tak hay.is kay baad namaz-e-zohar-o-asr qaza ho jati hay.aur ghuroob-e-aaftaab say itni dair pehlay kay sirf chaar rakat namaz ka waqt baqi reh jaey to namaz-e-zohar qaza ho jati hay aur sirf namaz-e-asr ka waqt baqi bachta hay..Namaz-e-Maghrib-o-Isha:Agar shak ho kay sooraj ghuroob hoa hay ya nahi aur is baat ka aihtimaal ho kay soorajpahaaroo,imaaratoo ya darakhtoo kay peechay chup gaya hay to zaroori hay kay jab tak mashriq ki taraf ki surkhi jo sooraj ghuroob honay kay baad numoodaar hoti hay insaan kay sar kay ooper say na guzar jaey maghrib ki namaz na parhay balkay agar shak na ho tab bhi aihtiyaat-e-wajib ki bina par zaroori hay kay mazkoora waqt tak sabr karay.Maghrib aur Isha ki namaz ka waqt mukhtaar shakhs kay liye aadhi raat tak rehta hay laikin jin logoon ko koi uzr ho masalan bhool janay ki wajah say ya neend ya haiz ya in jaisay doosray umoor ki wajah say aadhi raat say pehlay na parh sakay hoon to in kay liye maghrib o isha ki namaz ka waqt fajr tuloo honay tak baqi rehta hay laikin in dono namazoo kay darmiyan mutawajjeh honay ki soorat main tarteeb motabar hay yani isha ki namaz ko jaan boojh kar maghrib ki namaz say pehlay parhay to batil hay laikin agar isha ki namaz ada karnay ki miqdaar say ziada waqt baqi na raha ho to is soorat main lazim hay kay isha ki namaz ko maghrib ki namaz say pehlay parhay.Ref:Tauzeehul Masail Pg.No.123-126,Masala No.718,723,724,729. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.