Answer |
1)Sab se pehli baat tu ye hay k jis nabi(s.a.w.w) k fermaan k mutabiq hum nikah e daimi ko halal maante hain, osi nabi(s.a.w.w) ne muta(ghair daimi nikah) ko halal kia hay. Jab daimi nikah ko zina nahi kaha jasakta tu phir muta ko zina kese keh sakte hain? Kia nabi(s.a.w.w) ko maloom nahi tha k muta, zina hay? Sahaba(r.a) ne bhi muta kia tha,yaah tak k nabi(s.a.w.w) ki wafaat k baad bhi doosri khilafat main bhi muta kerte rahe. Kia aap sahaba se zida jaante hain.Muta nabi(s.a.w.w) ne halal kia tha is per kisi musalman ko ikhtelaaf nahi sunni shia sab maante hain.Laikin Hazrat umar ne apni khilafat k chand saalo k baad is muta ko haram qaraar day dia, kia kisi shaks ko nabi(s.a.w.w) k halal ko haram kerne ka haq hay, chahay wo koe bhi ho?hum shia hazraat ka ye aqida hay k nabi(s.a.w.w) ki halal kerda cheez qiyamat tak halal rahe gi or nabi(s.a.w.w) ki haram kerda cheez qiyamat tak haram rahe gi.
2)Ye sarasar shia hazraat per bohtaan hay k wo muharram jaise soog k mahine main nikah ya muta kerte hain. Hamare ilm main koe aisa shia nahi jo muharram k mahine main nikah(daimi ya ghair daimi) kerta ho. Or ye azeem tohmat hay k muharram main imam baargaaho main kanwari lerkio ko muta ki ijtimae dawat di jati hay? Haan Imam hussain a.s k gham manane k liay pori dunya main majalis hoti hain. khawateen ki bhi majalis hoti hain.Ye faqat shia hazraat se door rakhne k liay fasadi mullaoon ki koe sazish hay. Aap khud jaa ker tehqeeq o tasdeeq ker saktay hain. Aap ka ye sawaal bhi ajeb hay k kia sab shia lerkiyaan muta kerti hain? Tu is ka jawaab ye hay k nahi, aisa nahi hay, Q k muta bhi nikah ki aik qism hay, is main bhi nikah ki sharait zarori hain. Nikah ki sharait main se aik ye bhi hay agar lerki kanwari ho tu wo apne baap ya dada ki ijazat k baghair nikah nahi ker sakti. Is liay aksar lerkiyaan muta nahi ker sakteen, jis tarah wo daimi nikah bhi nahi ker sakteen. Update on dated 21-10-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).
|