Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam! ap en ek question ka jawab ye dia hai k jis k sath zina kia hai os se shadi nai ho sakti aur phir dosry question ma jawab dia hai k jis k sath zina kia ho os k sath shadi krni chahiye? ab ye mjy samaj nai araha.......... 
Answer 1) Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364) 2) Agar sohardar aurat zina kray to ehtiyat e wajib ki bina par wo zaani par hamisha k lie haram ho jati hai Yani wo aurat phir khabi bhi zina krnay walay shakhs sai nikah nahi kar sakti hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 2367). Note: Ye do alag hukum hain. Pehla hukum bay shohar aurat k liay hay jo kis shohar ki iddat main nah ho, or dosra hukum shohar daar aurat kay liay hay.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.