Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question Salams..plz muejh yeh batayen ki kia kisi larke se baghir kisi ghalat neeyat k baat karna gunah hai...aur agar hum net pe chatting kartey hain baghir kisi ghalat neeyat ke to kia yeh jayiz hai..plz reply a soon..Thankyou.. 
Answer Kionkay haram main mubatala honay ka khouf hay is liye chatting jaiz nahi hay...Aik khatoon say aisi batain ki jasakti hain jin ka nateeja kisi akhlaqi fasaad ki soorat main na nikal raha ho jabkay koi aisi baat bhi na ki jarahi ho jis ka kisi ajnabi khatoon kay saath kiya jana munasib nahi hota.isi tarah baghair lazzat kay iraday kay is ki batain bhi suni ja sakti hain jab kay haram main na parnay ka bhi itmeenaan ho,albatta aurat ki zimmedari bhi hay kay wo apni awaz ko itna khoobsoorat aur bareek na banaey jo insaan kay jazbaat ko ubharnay wali ho.Ref:I-19,Book-4,Q.No.127. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.