Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name fhjhf 
Question agr koi shakhs apni chachi se zana kr bethte to kia mafi ho skti ha k nai plz rep agr dunya mein koi saza ha to btaen take roz hashr bach jayen  
Answer Haqiqat e tauba gunah ki anjaam dahi per nidamat hay.or isi liay kaha gaya hay k “nidamat hi tuba hay”. or waazeh hay rahay k haqiqi nidamat hamesha gunah k terk k mazboot iraday or dobara is ki taraf nah palatnay k iraday k saath hoti hay. or haqiqi nadim shaks zaroor bil zaroor apnay pichlay gunaho ka izala or tadaruk kerta hay.agar os ka hunah huqooq e khuda main se ho tu khuda ki baargaah se maghfirat talab karay or agar qaza ya kaffara ya dobara amal ka anjaam daina wajib ho tu anjaab dain. Or agar huqooq e naas os k zimmay ho tu zarori hay k sahib e haq se os haq ka apnay oper halal honay ki ijazat lay lay ya oska haq os ko day day.taubah faqat astaghfirul laah kehnay se nahi ho jati, balkeh nidamat or hamesha gunah k terk kernay ka mzboot irada or os ka tadaruk laazimhay.albattah agar tauba k baad gunah karay tub hi remat e Khuda se mayoos nah ho balkeh zarori hay k dobarah tauba karain.kun keh Khuda kareen or meherban hay.or bakshnay wala hay.or tauba kernay walo ko doost rakhta hay.hadees e shareef main hay k: “ Aik lamhah r fikr kerna 60 saal ki ibadat se behter hay” or tauba main asar andaaz cheez ye hay k azmat e Khuda or os ka apnay bando per haq or khuda ka her jagah hazir o nazir honay per fikr kerna hay.or isi liay hadees main ayay hay: “tanhaae main bhi gunah k anjaam dainay se per haiz karao k Khuda hazir or daikhnay wala hay”( Ref: email rcvd from Aqae sistani(d.b), dated:17-08-2011). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) . 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.