Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Mene guuse me apni bibi ko talaq de diya ab mujhe behad afsos h aur allah se is gunah ki toba karta hu aur apse ye poochhna chahta hun kiya mera uske saath dobara nikah jaiz h. meri umar 70 saal h. aur 9 bachhe h.  
Answer Ye talaq sahi nahi hai Q k talaaq ki chand shartain hain jin ki pabandi na ki jaay tu talaaq nahi hoti. 1.talaq k waqt aurat haiz or nifaas say paak ho or is paaki k doran merd nay jima(intercourse) nah kia ho. 2.talaq zabani dijaay. yani likh ker talaq dayna batil hay or talaq nahi kehlaay gi. 3. Talaq ka seegha sahi arabi main lafz e “طالق” k saath perha jaay. 4.talaaq do(2) aadil(jo zaahiran gunahgaar nah hoon,or wajib kaamo per amal kertay hon or haram kaamo say bachtay hon) gawahoo ki maujoodgi main di jaay. 5.zarori hay k merd talaq apne ikhteyaar se day or agar osay apni bivi ko talaq daine par majoboor kia jaay tu talaq batil hay. 6.Merd talaaq k waqt talaq ki niyat rakhta ho,layhaaza agar wo maslan mazaaq ya nashay ya ghussay ki halat main talaq day tu,talaaq sahi nahi hogi. (Ref : Ayat Ullah Sistani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2462 to 2472). Update on dated 17-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.