Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Agha-e-Sistani 
Question Salaams, Qibla Walad-uz-zina aur Haramzaadey main kiya farq hai ?? Sunni Jo Tawaf-un-nisa nahin kerte kiya un logon se shadi biyah jaiz hai. Wsalaam.  
Answer Waladuz zina aur Haram zaadey ka matlab aik hi hay yani wo shaks jo bay nikahi maan se paida hoa ho.yani zina k natijay main paida hoa ho.(Ref:fairoozul lughaat, pg#565) Tawaafun nisa jo Haj or umrah e mufradah ka aakhri tawaaf hay jisay anjaam nah dainay se Haj ya Umra e mufrada kernay walay per hambistari haram rehti hay magar nikah nahi tot ta or agar kisi nay tawaafun nisa anjaam nah diya hambistari ki jay tab bhi paida honay wala bacha halal zada hoga.isi terah or bhi kae maqamaat hain k jahan hambistari haram hay laikin is hambistari k natijay main paida honay wali aulaad halal zada hoti hay.maslan: halat e roza main jima haram hay,halat e haiz or nifaas main jima kerna haram hay.(Re: Ref:Ayatullah Sistani(d.b), Tauzihul masail, Maslah# 448,1565, pg#476)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.