Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Sir !hmary sir ny exampl di hy k agr ik shks k pas 10 kilo chawal han or dosry k pas 15 kg amrod to agr phla skhs kahy k tm .10 kg chawal ly lo or15 kg amrod dy do ....to ye tijarat hy ....mgr agr dono k pas chawal han mgr ik k pas 10 kg han or achi ququality k han jb k dosry k pas 15 kg am si quality k han to agr wo exchang krain gy chawal to ye sood hy ......... Yani sir k khny ka mtlb ye hy k agr do mukhtalif jins ki chezain han to aps main exchang krna tijarat hy or agr sam jins k hun to sood ............jb k mera khyal ye hy k kisi b cheez ki zyadti sood ho jati ...........is swal ki rehnumai main bta dain k kia ye exampl sood k lie theek hy ? Mjhy sood or tijarat ka frk is ki exampl ki roshni main smjha dain ?  
Answer Aap k sir ne bilkul theek misaal di hay. Jo cheez bhi naap ya tool ker baichi jati ho agar osi cheez k muqaable main berha ker baicha jaey tu sood hoga. Jaisay aik kilo chawal ko 2 kilo chawal k badlay baicha jaey. Balkeh agar 2 cheezo main se aik bay aib or doori aibdaar ho, ya inki qeemato main faraq ho tu agar baichne wala jo miqdaar day raha ho os se ziyada lay tab bhi sood or haram hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 36,Mafhoom e Maslah #2033). Update on dated 26-12-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.