Answer |
Chand din roza rakna haram or makroh hay jin se se chand ye hain:
Haram rozay: Eid ul fitr aur eid e qurban ke din roza rakhna haram he. 2)Aur jis din k baray me insaan ko ye ilm na ho k shabaan ki aakhri tareekh he ya ramzaan ki pehli to agar wo is din pehli ramzaan ki niyat se roza rakhay to haram he. 3)agar aurat ke mustahab rozay rakhnay se shohar k haq talfi hoti ho to aurat ka roza rakhna haram he. 4) agar aulad ka mustahab roza maa baap k lie aziyat ka maujib ho to aulad ke lie mustahab roza rakhna haram he.Is k ilawa aur bhi haram rozain hein .
Makroh rozay: Aashoor k din roza rakhna makhroh hay or os din ka roza bhi makhroh hay jis k baray main shak ho keh arfa(9 zil haj) ka din hay ya eid e qubaan ka din hay.
Haram aur makrooh rozay k alawa saal k tammaam dino k rozay mustahab hein. (ref : tauzeeh e ul masayl ayat ullaha sistani (d.b.) masla # 1709 , 1710 , 1711,1717). (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)
|