Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mera sawal ye hai k jis trha aj kal larke larkian sex krti hain khud se means k akyle hi hathon ki madad se ya kisi or chez ki mdad se kiya ye jaiz hai?agr ak kanware lrke ya larki ka dil kre sex krne ko or wo shadi shuda na ho or na hi uski shadi ka koi chanc bn rha ho to kiya us k liye khud se es tra sex krna jaiz hai?apka kiya kehna hai kiya es bare main k agr koi sex krna chahe or wo kisi or se na krskta ho to kiya khud se sex krna jaiz hoga?islam kiya kehta hai es bare main kiya p koi hadiyat k hawale se bta skte hain?plz 
Answer 1) Hand practice(Istimna) karna kisi bhi zariay se ho haram he. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 462 pg # 253) 2) Aurat k liay apni sharamgaah ko itna cherhna jaiz nahi he k is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur usay inzaal ho jaay aur agar us se is ki lazzat orooj tak pouhanch jaay aur us ka behnay wala mawaad kharij ho jaay to os per ghusl wajib ho ga. (Ref : Jaded Faqhi Masayl Masla # 506 pg # 266). 3) Toba ka tareeqa : sab se pehle to parvardigare aalam ki barghah me ham ne jo gunah kiye ho un par pshemani honi chahiye, us ke baad aeenda gunah na karne ka pakka irada bhi hona chahiye, is k baad tisre(3) marahel me jo gunah kiya gaya he uska azala karna bhi zaroori he aur woh is tarh se k agar namaz ko choda gaya ho to us ki qaza karni padegi aur agar kisi ko kisi qisma ka nuqsan phonchaya tha to woh nuqsan pura karna padega, agar zina kia he to us ko chorna ho ga, yeh sari batain insan k apne gunaho ki qafiyyat par he, in umoor ki anjam dahee k baad raheeem o kareem parvadigar aalam se mohammad w aale mohammad s.a.w.w. ka wasta dekar dua ki jaye to inshaAllah zaroor tauba qabool ho jayegi. Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karte he aur aisa hirgis nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 4)Toba karein Parwar digar ne quran me wadah kia he k wo toba karney walon ki toba ko qabool karta he aur aisa hargiz nahi ho sakhta he k wo apne wadeh per amal na karey. Aur ghuna se bachney k lie mazboot irada chahiea. (Ref : sistani.org ques # 1 , toba) 4)Jo shakhs shadi na karnay ki wajah se fail e haram me mubtila hota ho os per wajib he k shadi karay. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 2407) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.