Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name  
Question mra sawal ye ha k me ne mannatain mangie the lkn mra kam pura nae huwa r me phela he manat khatam krna chate hu mjhe kia kufara dena ho ga 
Answer Ap ka ye amal nazar us wqt kehlayega jab is men zaban se nazar k alfaz kahen hon is tarah k Agr mera kam hogaya to men Allah k liye khud per ye lazim krti hun k koi anjam dungi,(Phir ap wo mannat khatm nahin kr sakti) is surat men agr apka wo kam hojaye to ap per wajib hai k wok am anjam den, or agr ap ye nahi kr sakte to ap per wajib hai k kaffara ada kren, matlb 10 faqeeron ko pet bhar kr khana khilaen ya unhen libaas ata kren, or agr ye kam b na kr saken to 3 din musalsal roze rakhen, lekin agr apne zaban se ye alfaz ada nahi kiye faqt niyat ki hai to ye nazar sahi nahi hai.lehaza koi kaffar nahi hoga.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2604-2633). Update on dated 31-07-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.