Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agha sb mera question yeh hai k Allah sy wadda torny ka kaffara 60 faqeeron ko pait bhar k khana khilana faqeer wo jo rasty mai mangty hain yah kisi friend wgera ya koi realtive ko b bhook lagi ho to us ko b pait bhar k khana khila sakty hain aur aik dost ko b 60 martba pait bhar k khana khila skty hai ya koi qeemat b adda kr skty hain ya nahi aur ager qeemat adda kr skty hain to kitni aur 1 aur sawal mai ny kisi ki b taqleed nahi ki kia taqleed k liye sirf neiyat karni parti hai 
Answer 1-Faqeer wo shaks hota hay jo zakaat ka mustahiq ho, jis k paas saal k akhrajaat nah hoon, is faqeer main Islam ki shart hay balkeh ehtiyaat ki bina momin hone ki shart hay.ehtiyaat ye hay k bay namazi or sharab peenay wale or khullam khulla gunah kerne wale ko kaffara nah diya jaey. 60 alag faqeero ko khana khilana wajib hay, aik hi faqeer ko 60 baar khilana kafi nahi hoga, qimat daina kafi nahi hoga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhajus Saliheen, part#3, Mafhoom e Maslah #773,774). 2-kisi aalam mujtahid maslan ayatullah Sistani d.b ki taleed ka irada ker k in k masael per amal kerne ka naam taqleed hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Jadeed fiqhi masael, Mafhoom e Maslah#22). Update on dated 01-02-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.