Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamu alaikum wa rahmtullahi wa barkatu sir phle to yhe ke mujhe nahi pata yhe Mujtahid-e-Taqleed mein jo options hain inka kia matlab hai. Ager mein ne koi galat chose kar liya ho to maaf kijiye ga. Mein yhe khna chahti hon ke mera parhai mein dil nahi lagta or mujhe parhne ka bohat shok hai mein ne apne exams kabhi feel ni kiye pr is saal mein ne fail kiye hai mein 12th grade ki student hon to ap please mujhe koi waifa btain ke mera parhai mein dil lag jaye or mein kamyabi hasil karon. 
Answer Riwayat ke mutabiq Surah Taha ki Ayat 25,26,27,28 ko har roz 3 martaba parhay tu ye har qisam ki faramoshi ko khatam kerti ha or hafizay ko mazboot banati ha.(Ref: Nawa e Saliheen, pg#333) • Agar koi talib-e-ilm chata ha ke is ko sabaq yad ho jay tu is ko chaye ke Sura Aaraaf ayat 171 ko kisi kagaz per likh ker is kagas ko apnay mazmoon(sabject) ki kitab me rakh de tu wo sabaq is ko Insha Allah yad ho jay ga.(Ref: Naeemul amaal, pg#354). Imtihaan me kamyabi ke liye ye nihayat mujarrab ha lihaza imtihaan me asaan exams ke liye center jane se pehle 7 martaba Surah Al-Infaal Ayat 62 ko awal or akir 3 martaba durood perh ker jay. (Ref: Naeemul amaal, pg#354). Update on dated 03-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.