Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aslamualikum Phle to bohat shukriya mere sawal ka jawab dene ke liye. Mujhe ek or sawal pochna tha meri ek dost hai or uske gher walon ne uski marzi ke khilaf uska nikah karwa diya hai wo us rishte se khush nahi hai pr wo yhe bat apne waldain ko b nahi khna chahti wo. To kia jab koi larki kisi ko dil se qubool ni karti to kia nikah nahi hota? Or usko is mamle mein kia karna chahiye? Please meri dost ki help kariye.  
Answer Nikah k sahe hone ki sharait me aik ya hai k aurat aur mard nikah per razi ho.ha agar bazahir napasadeedghe ka ishaar kare aur malooom ho k dil se raze hai to nikah sahe hai aur agar dil se razi nahe hai to nikah sahe nahe hai. Agar aurat aur mard ko ya in me se kise aik ko isdewaj (shadi) per majboor kiya jaay aur nikah k baad wo ijazat de de to nikah sahe hai.laikin behter ye hai k dobara nikah perha jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #2335,2339, 2379 ) . Update on dated 23-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.