Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question jab mai be shadi shuda thi tab maine ek shaqs k saath zina kia aur fir usi k saath nikah bhi bina tawbah kiye huye.. ye mera pehla nikah hai. aaj humari shadi ko 6saal ho gye hai aur humari abhi koi aulad nhi ..kya humara nikah jaiz hai aur agar ye nikah haraam hai toh iske liy kya hume ek dusre ko talaq deni hogi ya bina talaq diye tawbah krke dobara nikah krna chaiye ...mere walid mujse mere shauhar ko talaq dene ko bol rahe hai kyuki ye nikah haram hai aur mera nikah kisi aur k sath muntakhib krna chahte hai kya unke kehne par amal karna laazmi hai..jawab dein muje apke jawab ki sakht zarurat hai ilm or deen ki roshini me... 
Answer 1-kawari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or baligh bhi ho. agar lerki kawari nah ho tu os k liay baap ya dada ki ijazat ki zororat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342). 2)Agar koe shaks kisi aisi bay shohar aurat k sath zina kare jo iddat main nah ho to ehtiyat e wajib ki bina wo shaks is(aurat) k tauba kerne se pehle is se shadi nahi ker sakta.(Ref:Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31th edition,maslah #2364). Update on dated 14-03-16. Note: in dono fatwo k mutabiq aap ka nikah durust nahi. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.