Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalamualaikum qasam aur waada tor dene ka kia kaffaara(penalty) hota hai? Kindly answer with reference 
Answer 1-Qasam ka kaffara ye hay kay aik ghulam ko azad karay ya das (10) faqeeroon ko pait bhar kar khana khilaye ya 10 faqiroon ko poshak pehnaye, Agar in aamaal ko anjam na h day sakta ho to zaroori hay k teen (3) din musalsal rozay rakhe.(Ref:Ayat Ullah Khoe(r.a), Tauzee hul masael,Mafhoom e Maslah #2679). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2-agar koe shak apnay ehed per amal nah kare tu os chahiay k kaffara day yani 60 faqiroon ko khana khilaey ya do mahine muslsal roze rakhe ya aik ghulam azaad kare.(Ref:Ayat Ullah khoe(r.a), Tauzee hul masael, Mafhoom e Maslah # 2678). Update on dated 25-03-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.