Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asalam o Alykum - Please advise - 6 months k bachay ki delvery sai phelay he death ho jati hai - iss surat mai kya uss ko Khnoot daina hoga ghusal k baad aur kya uss ki Talqeen hogi - kis umer k bachi sai yeh ahkamat karnay hotay hain  
Answer Saaqit shuda bacha(jo k musalman ya musalman k hokum main hay) agar 4 qamri mahine ya is se zaaid ho,tu zarori hay k mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey, balkeh agar 4 mahine ka bhi nah ho laikin os k badan ki banawat mukammal ho chuki ho,tu ehtiyaat e wajib ki bina per,zarori hay k os ko mukallaf afraad ki manind ghusl e mayyit diya jaey,kafan pehnaya jaey,hunoot kia jaey or dafan kia jaey .(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael jaame,Mafhoom e Maslah #679). Update on dated 29-04-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.