Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam-o-alaikum kya larka aur larki apna nikah khud ker sakte hain khuda ko gawah bna ker  
Answer Nikah k sahe hone ki khuch shara,it hain jin k baghair nikah sahi nahi hota jin me se khuch ye hain (nikah k alfaaz ) perhna zarori hay.aurat or merd ka faqat raazi hona kafi nahi 1)Ehtiyaat e wajib he nikah ka seeghah sahih arabi me parha jaay,or agar khud merd or aurat sighah arabi main nah perh saktay hon tu arbi k Alawa kisi dosri zaban main perh saktay hain or kisi ko vakil banana laazimi nahi hay albatta inhe chaie k wo alfaaz kehe jo zawwajto aur qabilto ka mafhoom ada kare maslan phele mahar moiyan karne k baad daime nikah me larki yu kehe k mene is mahar per jo moiyan ho chukka hai apne aap ko tumhari biwi banaya aur is k lamhe bhar baad mard kehe k mene is isdewaaj ko qabool kiya to nikah sahe hai Agar merd or aurat khud daimi nikah ka seegah perhna chahain to, nikah ka meher taay karney k baad pehlay aurat kahay k (زوجتک نفسی علی المھر المعلوم)(Zauwajtoka nafsee alal mahril ma’loom) Or os k baad merd furan kahay (قبلت)(qabilt) tu nikah ho jaay ga. Kunwari(virgin) lerki os waqt tak nikah nahi ker sakti jab tak k lerki ka Baap ya Dada lerki ko nikah ki ijazat nah day day.or yehi hokum ehtiyaat e wajib ki bina(base) per os sorat main bhi hay k jab larki khud mukhtar or balig bhi ho. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2328-2335,2341,2342). Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.