Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam u Alaikum fajr k baad haiz ka ghusal kar k roza rakh lya to kya roza hoga? 
Answer Agar koi aurat subah ki azaan k baad haiz k khoon se paak ho jaay to is ka roza batil hai or agar Ramazan ke rozo mein Aurat subh se pehle Haiz ya Nifaas se paak ho jaay aur jaan boojh ker ghusl na kare ya oska fariza tayamum karna ho aur wo tayammum nah kare to zaruri hai k os din k roze ko poora kare aur oski qaza bhi kare. Or agar Ramazan k qaza roze main agar jaan bhoojh k ghusl ya tayammum nah kare to ehteyaat-e-waajib ki bina par wo os din ka roza nahi rakh sakti. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1612,1608 ) . Update on dated 26-06-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.