Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assllamallekum mai jitna bar waju karta hun utni bar pani halk se niche jata hai to kya meri roja tut gayi pls jald bataieee... 
Answer Wuzu me mou me pani daalna (kulli karna) zarori nahi hay. Agar koi wuzu karte waqt kulli kare aur pani beikhteyaar mou me chele jaay to roza batil nahi hota . Agar kise shaks ko maloom ho k kulli karne se beikhteyaar ya bhool jane ki waja se pani is k halaq me chala ja.ay ga to zarori hai k kulli na kare aur is surat me agar kulli kare laikin pani halaq se na utre to ehteyaate wajib ki bina per roze ki qaza kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #1659,1664). Update on dated 12-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.