Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question mene handpractise ki aur soogya aur meri ankh nae khuli sehri se phle k me gusaal kru aur pak halaat me ajao. To ab kya me roza rkhne ki halaat me hu ya roza qabool nae hoga? 
Answer Istimna karna (kise tariqe se mani kharij) karna ghuna kabira hai. (Ref:Ayatullah sistani, Minhajus Saliheen,Part#1, Maslah#30,eidition 2009 ). jo shaks ramzaan ki raat me junub(yani us per ghusal janabat wajib ) ho jaay to us ko waqt namaaz fajar se phele ghusal janabat karlena zarori hai take dosere din ka roza rakha ja sake aur agar junub ( yani wo shaks jis per ghusal janabat waajib ho ) jaan boujh kar ghusal (janabat ) na kare ya jis shaks ka fareeza tayammum ho jaan boujh kar tayammum na kare to zarori hai k is din ka roza pura kare aur phir aik din aur roza rakhe aur chunke ye moiyan nahi hai k ye dosera roza qaza hai ya saza , lehaza ramzaan ka is din ka roza bhi mafizzimma ki niyat se rakhe aur ramzaan k baad bhi jis din roza rakhe aur us me qaza ki niyat na kare. ramzaan k roze ko jaan bough kar janabat ki halat me baqi rakhne ki waja se qaza k ilawa kaffara k tour per zarori hai k 2 mahene roze rakhe ya har roze k badle 60 faqeero me se har aik faqeer ko 750 gm gandum waghaira diya jaay . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail edition:2015, maslah # 1591,1569,1632,1633), (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat roza, ques # 112,113, pg # 59). Update on dated 19-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.