Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salam.....aaj subo roza rakh k namaz k baad ma soya tha. Mjy peeshab tez aaya tha par ma otha nai and ma apnay aaza ko bistar par ragarta rha par mera irada ye nai tha k ma muth maron. Achanak mani nikal ai. Kia roza batil hy? 
Answer Agar koi shaks mani kharij karne k irade se mush zani kare aur mani kharij ho jaay to is ka roza batil hoga aur is k zimme roze ki qaza aur kaffara jo k 2 mahene musalsal roze rakhna hai ya 60 masakeen ko khana khelana hai wajib hoga aur agar inzaal (mani kharij hone ) ki niyat se ye amal anjaam de magar mani kharij na ho to ise chaie k qurbat mutlaqa ki niyat se is din k roze ko mukammal kare aur baad me qaza bhi baja laae aur agar koi shaks ye amal anjaam de laikin is ka irada inzaal (mani kharij karna) na ho aur na is ki ye aadat thi k fouran mani kharij ho laikin srif inzaal (mani kharij hone ka) ahtemaal deta tha aur inzaal (mani kharij ho jaay) to is shaks per is din k roze ki qaza wajib hoghe kaffara wajib nahe hoga aur agar ise mukammal wusooq (itmenaan ) tha k mani kharij nahe hoghe laikin itefaqan mani kharij ho jaay to is surat me roze ki qaza bhi wajib nahe . (Ref : aqa sistani,Jadeed faqhi masail , masla # 110 , pg # 90, eidition 5). Update on dated 14-07-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.