Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Assalam wa Alaekum...! Qibla mai Bank mai job karta hu Admin & Security Department mai... Hamari koi public dealing nahi hy... or mene job krne se pehle Quran se istekhara b krwaya tha tau bht behtar aya tha... mujhe ye janna hy k kia mera job krna jaiz hy...? qk log kehte hain isk paiso mai barkat ni hoti... jb k mai apni khushi se bank mai ni aya khud asbaab bn gaye or mere pas koi dusra chance b ni tha.. please meri islah kren ta k mera dil mutmain hosake... or State Bank of Pakistan mai job krna jaiz hy ya nahi? qk uski b public dealing ni hoti.... Shukriya... 
Answer Bank k kaam 2 tara k hote hain: 1) bank k haraam kaam ,maslan jo sodi muaamlaat se talluq rakhte hai un k shuru karne me kise ki numaandaghi karna ,un ki rejisteri karna, un ka ghawa banna aur sodi qarz lene wale se sood wusool karna .aise he wo kaam jo deghar sodi muaamlaat me sharakat ki bina per is se munsalik hai ya sharaab ka karobaar kar rahe hai maslan un k shears baichna ya un ko wusat dene k lie taawun karna haraam kaamo me shumaar hote hai . ye tamaam kaam haram hai aur is shube me job karna jaiz nahe hai aur is department me job karne wala ujrat lene ka mustahiq nahe hai.2) bank k jaiz kaam ye upper biyaan kye kaye kaamo k ilawa hai in ko anzaam dena aur in per ujrat lena jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,hissa jadeed masail pg:453) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.