Question |
Assalamalykum,
mera question hai ki, meri shadi ko do mahine 15 din ho chuke hai, aur hamne sirf 3- ya char baar hi sohbat ki hai, ab meri wife mujhe haath lagane ko mana karti hai, aur shadi se pehle uska kisi se affair bhi tha lekin maine usko phir bhi accept kiya, magar woh mujhe bilkul bhi pyaar nahi karti, aur mujhse 6 mahine 1 saal ka time maangti hai
kuch batayein ki uske dil mein mere liye beshumaar pyaar paida ho jaye, uski maan uska har cheez main saath deti hai, uski maan ko yeh baat bhi pata thi, ki uska affair hai, phir bhi chupaya, kuch mujhe parhne ko batayein ki main inki sab chalon par fateh pa sakoon, aur biwi ke dil mein phi beshumaar pyaar paida ho jaye mere liye aur us ladke ko bhula de, sir meri farma bardar bankar rahe, aur kisi ke bhi behkawa mein na aye |