Answer |
Agar aurat ramzaan me fajar ki azaan se phele haiz ya nifaas se paak ho jaay to waqt namaaz fajar se phele ghusal haiz ya nifaas kar lena zarori hai aur agar wo ghusal karne me laparwaai kare waqt namaaz fajar tak ghusal na kare aur waqt short hone ki surat me tayammum bhi na kare to zarori hai is din ka roza pura kare aur qaza bhi kare . (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah #1614 ) Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). |