Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question agar koi shaks bemari ki halat main ya phir kisi or waja se Ramazan kareem ka roza to rakhy lekin usy ye khadsha ho k shayad uski bardasht uska sath na de or usko roza torna paray,, to kya mumkin hai k wo bagher niyat k roza rakhy? or agar ye mumkin hai to usy kitny waqt k andar niyat karleni chahiye? please help me as soon as possible. jazakAllah 
Answer Agar koi jaanta ho k roza rakhna us k lie aisa muzir (nuqsaande) nahe hai k jis ki perwa ki jaay agarche tabeeb kehe k muzir (nuqsaande) hai us k lie zarori hai k roza rakhe aur agar koi shaks yaqeen ya ghumaan rakhta ho k roza us k lie muzir (nuqsaande) hai agarche tabeeb kehe k muzir nahe hai (nuqsaande) to is per wajib nahe hai k roza rakhe. Agar kise shaks ko yaqeen ya itmenaan ho k rozo rakhna is k lie qaable tawaju zarar (nuqsaan) ka baais hai ya is baat ka ahtemaal ho aur is ahtemaal ki bina per (is k dil me ) khouf paida ho jaay to agar is ka ahtemaal louqo ki nazar me sahe ho to is k lie roza rakhna wajib nahe balke agar wo nuqsaan insaani jaan ki halaqat ya kise hisse k naaqis hone ka sabab ban raha ho to roza haraam . is k ilawa surat me agar baqasde raja roza rakh le aur baad me maloom ho k roza is k lie qaable tawaju nuqsaan ka sabab na tha to is ka roza sahe hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 31st edition, maslah # 1713,1714).Update on dated 22-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.