Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ibaadat 
Question Sir,mera sawal hai k jab mai raat ko sota hon aur suba jab utha hon tab mere kapdo par kuch dabhe hote hai aur kabhi small small white dabhe hote hai jo bagair uchle aur kabhi bagair shahwat k nikalte hai tu kia mai ise mazi samjho kyon k ye gair mahsoos taur par nikalte hai 
Answer Agar aap ko kisee tarah bhee yeh yaqeen ho jaye keh yeh ratoobat mani hay to phir yeh mani hee samjhee jaye gee. Aur agar maloom na ho raha ho to phir 3 alaamatein daikhee jayengee. 1)Shewat key saath niklay 2) Uchal ka nikley 3) Nikalney key baad badan sust ho jaye. Laikin bemar honey kee sorat mein dosri aur tisri alaamat zaroori nahi hay.(Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah#345) 4)Ghusl-e-Janabat wajib namaz parhnay aur aisi hi doosri ibadaat kay liye wajib hota hay.(Ref:Tauzeehul Masail A.Sistani Pg.65 Masala No.356.) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.