Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Asslam o Alaikum...!! Qibla mera swal ye hai k mein is wqt Pakistan k Allied Bank mein Branch Operation Manager k tor pe kam kr rha hun. Iss Bank k Owner tmam shareholders hain jin mein Muslim aur Non Muslim donu shamil hain. Kya aisy Bank mein job krna sahi hai? aur Kya mein Business Development Manager k tor pe kam kr skta hun? jis ka kam general public se deposit collect krna hai. Mery pas aur be koi job nai hai. kya mein Business Development Manager wali post pe kam kr skta hun? Brae mehrbani genral answer k bjae mery hawlay se clear answer anayat frmaen. JazakAllah...! 
Answer Bank k kaam 2 tara k hote hain: 1) bank k haraam kaam ,maslan jo sodi muaamlaat se talluq rakhte hai un k shuru karne me kise ki numaandaghi karna ,un ki rejisteri karna, un ka ghawa banna aur sodi qarz lene wale se sood wusool karna .aise he wo kaam jo deghar sodi muaamlaat me sharakat ki bina per is se munsalik hai ya sharaab ka karobaar kar rahe hai maslan un k shears baichna ya un ko wusat dene k lie taawun karna haraam kaamo me shumaar hote hai . ye tamaam kaam haram hai aur is shube me job karna jaiz nahe hai aur is department me job karne wala ujrat lene ka mustahiq nahe hai.2) bank k jaiz kaam ye upper biyaan kye kaye kaamo k ilawa hai in ko anzaam dena aur in per ujrat lena jaiz hai. (Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 36th edition,hissa jadeed masail pg:453). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.