Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Agr Larki Parents ki Ijazat k baghair mutah kr chuki ho tou yeh Gunnah hai? Jaise k mene mndrja zail jawabat mein parha k agr larki khud mukhtar ho.. Khud mukhtar honay se kya muraad hai? Aur agr mutah Walid ki ijazat k baghair krliya jaye tou? Agr Walid aese hon k woh bacho ko support nahi karte.. Bachpn se ley kr aj tk un ho ne koi Walid waala farz na nibhaya ho.. Aese walid ki ijazat k baghair mutah kara jaye tou jaiz hai.. Aur agr krliya ho tou na jaiz hai? Please thora explain kr kr k bta deyn 
Answer Jo ladki sin bulugh ko pohanch chuuki ho aur rashida ho ya’ni apna bura bhala samajh sakti ho agar wo shaadi karna chaahe aur konwaari ho aur apni zindagi ke umoor khud mukhtaari se anjaam na deti ho to ose chahiay keh apne baap se ijaazat le. Balkeh ehtayaat-e- waajib ki bina par yahi hukum os ke liay bhi hai jo khud mukhtaari se apni zindagi ke kaamon ko anjaam deti ho. Haan baap os mard ke sathh ose shaadi karne ke liay ijaazat na dete hoon jo urfan wa shar’an os ka hampalla ho ya baap beti ke shaadi ke m’amle mein kisi tarah shareek hone ke liay raazi na ho to on tamaam suuraton mein on se ijaazat lgaeea laazim nahin hai. jis jagha aurat k lie baab se ijazat lena zarori hai agar wo ijazat lie beghair nikah kare to us ka nikah batil hai laikin agar baap baad me ijazat de de to nikah sahe ho jaay gha. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masail, maslah # 2341,2342)(ref: sistani.org,arbi,oliya ade nikah ,que:4 ). Update on dated 26-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.