Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aik larkay ne aik larki se mutah kya aur kuch waqt baad inho ne aik dusre ko muddat khatam hune se pehle baksh di. kuch waqt baad inhen pata chala k jo mutah inho ne kya tha wo ghalat hai q k inho ne larki k walid se ijazat nhe li thi. to is mutah k baray me kya kaha jayega. kya wo mutah huwa tha? kya larki ko iddat puri karni hugi? kya larka larki shaadi kar skhte hai? shart rakhi gye thi k hm bistari nhe karege, hm ne mutah is lie kya tha k batein kare to gunah na mile. 
Answer 1)Jo baligh lerki kanwari ho or apni zindagi k umoor khudmukhtari se anjaam nah daiti ho tu agar wo shadi kerna chahay tu apany baap ya dada se ijazat lay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #2341). Update on dated 24-08-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). 2) ye muta durust nahi tha, or is k baad iddat ki zarorat nahi hay. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #259 , Eidition 1427 hij). Update on dated 24-08-16 . (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.