Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Ma apna aqiqa khud kr rahi hoon... Mere maa baap foat ho chuke hein... Us k b 3 hisse hon ge or qurbani k asool se hi taqseem hoga? Kya mere husband kha sakte gosht? Or kya jo siri paye hote istemal kiye ja skte??? 
Answer Aqaiqay k qurbani k jaanwer ki terah 3 hissay nahi hoteor nah hi wo qurbani k osool k mutabiq taqseem hota hay,aap k shohar is main se kha sate hain, or siri paey bhi istemaal kiay jasakte hain. Aqiqay k liay aik jaanwer(maslan bakra) kafi hai aur uska sara gosht ghar walay kha saktay magar Walid aur un afraad k liay jinka kharcha walid uthatay hoon aqiqay ka gosht khana makrooh hay.khaas taur per maan k liay makhroh hay. Magar mustahab ye hai k momineen ki jamaat ko dawat di jay aur afzal hai 10 ya os se ziyada afraad ko dawat di jaey. (Ref : Ayat Ullah Seestani(d.b), Minhaajus Saliheen Part # 3, Mafhoom e Maslah #394-395, Eidition 1417 hij). Aqiqay kid au k liay aap is link per click karain (http://shianet.in/index.php?option=com_content&view=article&id=2327:1391-03-18-07-45-47&catid=61:mafatihul-jenan&Itemid=99). Update on dated 13-03-2015. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.