Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Aayat-ul-Allah Seestani 
Question asalam walekum mere kuch sawallat hai 1)kia mobile per naat ki tones suna jaiez hai aur kia songs ki tones jaiez hai is ka ilawa jo "built-in" tones pehle sai hoti hai kia woh bhi sunna jaiez hai 2)kia maghrib,fajr,isha ki namaz ahista parhi jaskati hai buland awaz sai parhna zarori hai kia nahi parhne per gunah milega. shukria 
Answer 1:Agar wo Tones Lahw-o-Laib say munasibat na rakhti ho to jaiz hay..2:Aihtiyaat ki bina par zaroori hay kay mard subah,maghrib aur Isha main Soora-e-Alhamd aur dosra Soora buland awaaz say parhay.Agar koi shakhs jaan boojh kar un namaazoo main aahista parhay to aihtiyaat ki bina par is ki namaz batil hay laikin agar bhool janay ya na jaannay ki wajah say aisa karay to is ki namaz sahih hay.Ref:Istiftaat A.Sistani I-52,Tauzeehul Masail A.Sistani Masala No.280-282. 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.