Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Salaam o Alaikum Syed ... Q 1: Aik bewa khatoon jo is waqt akeli hain aur Retired Life guzaar rahi hain ... un ki kamaayee ka koyee zarya nahee hai ..... Kya wo apny paisaon say Banks k Saving Certificates le sakti hain jo aik makhsoos muddat k baad aik muqarrara interest adaa kartay hain ??? Q 2: Kya Mujhay apni beti k Jahez k liye khareedi huyee cheezon (including jewellary) par khums dena wajib hoga ? Beti k Jahez ki niyyat se save ki huyee raqam (naqdi) par khums k kya ehkaam hain ??? Allah Barek Fi 
Answer Ans: 1: 1-Private ya government ya sami- government bank main sood lene ki shart per raqam jama kerwana jaiz nahi hay or ye sood hay. 2-Government bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo is sorat main jaiz hay jab sood ki adhi raqam deendaar ghareeb or mustahaq afraad ko sadqa di jaay. 3- Private bank se jo munafa(profit) baghair sood ki shart k mile wo pora jaiz hay. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah #3,5.). Ans:2: Agar kisis alaqay main is andaz se riwaaj ho k insaan apni baiti ka jahaiz kae saalo main thorha thorha ker k tayyaar kerta ho, or is andaz se jahaiz ka bandobast nah kerna os shkas ki shan k khilaf ho - chahay is hawalay se keh wo os k moqe per os ka bandobast nah ker sakta ho- or ye cheez oski izzat per aanch aanay ka sabab banti ho, tu agar saal k doran osi saal k munafe se zarorat k silsilay k jahaiz ki chuch miqdaar ko khareeday jo oski shan se ziyada nah ho or urf main aik saal main is miqdaar ka bando bast kerna os k muta,aa,rif salana akhrajaat ka hissa shumaar hota ho,tu zarori nahi hay k os jahaiz ka khums ada karay. Raqam or amadani jo jahaiz k bandobast ya aainda zindagi k lawaazmaat ya shadi ki rosomaat k akhrajaat k bandobast k liay, alag ker k rakhi jati hay or bachae jaati hay,haata keh agar oper waali shara,et rakhti hoon, tab bhi zarori hay keh khums k saal k ikhtetaam per, on k khums ka hisab kare. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Ahkam e khums o fitra,Edition#1,Mafhoom e Maslah #2322,pg#42,43). Update on dated 17-10-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.