Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name Ayat Ullah Seestani 
Question Quran parhnay se pehlay wuzu krna zaroori hota hai. magar jab hum kisi ki quran khani par tayyar ho kar jate hai to kya tab quran parhnay se pehlay wuzu karna wajib hai? 
Answer 1)Baaz fuqahaa k nazdeeq quran majeed parhnay se pehlay wuzu karna mustahab he laikin ayat ullah sistani d.b. k nazdeeq wuzu ka mustahab hona saabit nahi he. Albattah agar koe shakhs mustahab honay k ethemaal k saath wuzu karay to os ka wuzu sahi he. 2)jo shakhs ba-wazoo na ho os k liay quran majeed k alfaz ko mas karna yani apnay badn ka koi hissa quran majeed k alfaz se lagana haram he.lakin agar quran majeed ka farsi ya urdu ya koi aur zaban me tarjuma kia gya ho to ose mas karnay me koi haraj nahi he. (Ref : Tauzeeh e ul masayl Ayat Ullaha Sistani (d.b.) Masla # 321, 316) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye)  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.