Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name syed Ali Sistani 
Question Assalam o Alaikum jesa k aap ka fatwa hai k koi na mehram larhka or larhki apas men bat nai kr sakte.meri fiancee ne jb se aap ka ye fatwa suna hai us ne muj se bt karna chorh di hai or wo muj se bt kiay bina na kuch khati hai or na piti ha kunke wo muj se boht pyar karti hai or bemar b ho jati hai to kea ham dono apas men aik dusre se baat kar sakte hain? ham log sirf mobile per chat kar sakte hain? 
Answer Mangiter na mehram he aur Mangiter se aam mamool ki baat cheet karney me jis k ander koe shehwat angaiz baat na ho , koe haraj nahi he laikin is me bhi shart he k is se koe jinsi lazzat haasil na ho aur na hi haram me pernay ka khof ho. Warna haram he. (ref : Mujtahid se pouchey gay sawalat part # 3, ques # 115, pg # 57) (Khuda aap ki tawfiqaat mein izafa farmaye) 

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.