Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Aik shaks k 2 bahe hn. Maa baap hn. Aur aik bv ha. Olaad nahe ha. Sawal ya ha k aus shaks k marnay k baad aus ki jaidaad ki taqseem kesay ho ge?  
Answer Meraas main sub se pehle merhoom ki biwi ko aulad nah hone ki sorat main 1/4th hissa diya jaayega, lekin is men bhi kuch sharten hen k biwi ko zameen nahi mile gi balkeh zameen per bani hue imrat ki qeemat ka 1/4th mile ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2700-2728). Merhoom k 2 bhaio ko tu meras nahi mile gi laikin on k hone ki wajah se merhoom ki maan ko 1/3 hissay k bajaey 1/6 hissa ile ga or baaqi maal merhoom k walid ko milay ga. (Ref:Ayat Ullah Seestani(d.b), Tauzee hul masael,Edition# 35,Mafhoom e Maslah # 2696). Update on dated 07-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.