Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Namaz onchi awaz ma parhni chahiye???? 
Answer Mard kay liye ehtiyat ki bina par wajib hai k Fajr,Maghrib aur Isha ki Namaz main Al-Hamd aur Sura Buland awaz say parhay aur mard aur aurat dono par ehtiyat ki bina par wajib hai k namaz e zohor aur asr mai al-hamd aur surah aahista parhay aur is ka Mayaar URF hay (yani society k aam loog) aur isi tarah aahista parhnay ka mayaar bhi URF hay,ye Wajibaat-e-Ghair-e-Rukni main say hay aur agar jaan boojh kar buland awaz say parhay to uski Namaz Batil hay,haan agar bhool jaey ya masala na janta ho to is soorat main Namaz sahi hay.(Ref: Ayatullah Sistani(d.b),Tauzeehul masail 33rd edition,mafhoome maslah #979)+(Ref: Urwatul Wusqa A.Sistani Part-2 Masala No.22-26). Update on dated 09-12-2016. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey).  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.