Print version

Print version

Print version

Question ID  
Mujtahid Name
Question Khums kya hai ? or ye kon c umr per wajib hota hai or kyaa tariqa hai iska? mein fil haal job nahi karta bus abbu se pocket money milti hai. 
Answer Tajir , kamanay wala, karigar, mulazim , kisan,ustaad, mazdoor or digar paishay wale afraad ka, kamae ya kaam shuru kerne se aik saal guzarne k baad, khums ka saal aa pohanchta hay, zarori hay k jo khuch on k saal se ziyada ho os ka khums(1/5) dain, bay roozgaar afraad ko jo ittefaaqi amadani hasil hoti hay tu jab amadani hasil hone k waqt se aik mukammal saal guzar jaey tu os bachi hoe miqdaar ka khums ada kerna zarori hay, is terah beroozgaar afraad apni har amadani k liay aik alag saal muqarrar ker sakte hain. Nabaligh bachay k maal per bhi khums wajib hota hay.(Ref: kitab: Ahkam e khums o fitra,pg#29-31,142). Update on dated 17-12-16. (Khuda aap ko Uloom e Aal e Muhammad(s.a.w.w) sekhne ka ajar ata farmaey). Mazeed malomaat k liay7 is link per click karain. http://www.sistani.org/urdu/qa/01797/.  

Answered By Quran-o-Itrat Academy
Topic  

View Other Questions.